Jesy ap sy sb ny suna hoga PTA nay DIRBS Mutarif karwaya hay DIRBS ( Device Identification, Registration and Blocking System) jo ap kay smuggled or unregister smartphone aur featured Phone ko block krnay ki salahiyat rakhta h .
Es say Pehly hum ap ko btayen k DIRBS kesy kaam krta h aur ap kesy register kr sakty hn , aur apny phone ko block hony sy bachaa skty hain , yahan hum ap ko kuch tajaweez dain gy .
IMEI
IMEI , yani International Mobile Equipment Identity , ye aik unique number hay jo sab mobiles ko issue kiya jata aur aisy hi dual sim waly phones kay 2 IMEI hotay hain .
Ye unique number (ya 2 sim hon toh 2 IMEI) us waqt diya jatay ha jab mobile manufacture yani factory men tayar kiya jata hay or essi waja sy kisi b Phone ka IMEI aik jesy nai hoty .
Ab apko samaj aa gai ho gi IMEI kay baary men toh ab hum DIRBS ko mazeed tafseel men janty hain kay ye kesy ap kay smuggled or unregistered mobile block kr sakta hay .
DIRBS men 3 kisam ki IMEI hotay hn .
- Ghalat IMEI (Invalid IMEI)
- Sahi IMEI (Valid IMEI )
- PTA say Tasdeeq Shuda IMEI (Compliant IMEI / PTA Approved IMEI)
Ghalat IMEI (Invalid IMEI )
Jesy k hum ap ko bata chuky hain 2 phones k IMEI aik jesy nai ho sktay . IMEIs ki list GSMA bana kr deta h sab manufacturer’s ko jo ye Phones men use kr sktay hn . ye aik Aalmi idara hay jo sab operators (companies) ki numayndagi krta h .
es ko smjny k liye kaha ja skta h, GSMA pori dunia men tasdeeq (Verify) kr skta hay k IMEI thek hay ya nahi or ye GSMA say tasdeeq shuda h ya nai..
agr phone ka IMEI GSMA nay issue kiya h toh phr ye thek (Valid) IMEI hoga agr nahi toh phr ye Galat (Invalid) IMEI hoga .
Apki malomat k liye hum aap ko batary chalain kay kuch Chinese company dummy IMEI bnati hain or apnay mobile men istemal karti hain . es waqt wo sab zeros IMEI men istemal kr rahain yahan tak nai balkay Alpha Numeric number b apny mobile kay liye istemal kr rahy hain aur yeh sab Ghalat (Invalid) IMEI men aaty hain . aur ye Chinese companies sirf GSMA ki fees say bachnay k liye krtay hain jo GSMA charge krta hay IMEI dety waqt .
Aik or tariqa hay jis say Ghalat IMEI ho sakta hay agr aap apna phone local market say khareedty hain . Es men aisy ho skta hay k aap ka IMEI Flash kr k naya software install kiya ho (Firmware) ya phr Galat(invalid) IMEI kay code sy koshish ki gai ho.
PTA say tasdeeq shuda IMEI
Sary phone Paksitan men legal tariqy k zariye import hoty hain or en k IMEI number PTA say tasdeeq shuda hotay hain. jesy kay Samsung Pakistan main 10000 phone aik maheenay men import karta h toh wo IMEI ki pori list PTA ko sab sy pehly dena lazmi hay .
Ye phone Sahi (Valid) IMEI k sath hoty hain (Q k GSMA say tasdeeq Shuda hoty hain) aur aik dafa wo PTA say register ho jayen toh phr us ko Sahi (Valid) IMEI men shamil kiya jata hai .
aur es k ilava koi IMEI jo Sahi (Valid) hota hay wo PTA sy tasdeeq shuda hota hai us ko Compliant IMEI b kehtay hain . yeh term(Compliant) DIRBS kay liye istemal hoti hai.
Sahi IMEI (Valid IMEI)
Teesri IMEI ki kisam hay Sahi(Valid) IMEI; (not Compliant) ye wo phone hoty hain wo GSMA sy IMEI tasdeeq shuda hoty hain aur PTA sy registered nai hoty , jesy koi ap ki family men say mobile dubai sy lay kr aata hay wo Sahi (Valid) IMEi men aata hay mgr Compliant IMEI men nahi aata .
Apnay Phone ka IMEI kesy daikh sakty hain ?
Phone ka IMEI check karna buhat simple hai jesy k:
- Abi apnay mobile kay dial pad *#06# milyain.
- Ap ko aik pop up show hoga jis men ap kay mobile ka IMEI hoga (ye ap k mobile par depend krta h k wo dual sim hay ya single hay wo sab IMEI ap ko dikha day ga)
Normally Aisy IMEI show hota ha
Kesy daikh saktay hain ap kay Phone ka IMEI Sahi , Galat ya Compliant hai ya nahi ?
Ho sakta hay aap nay apna mobile OLX sy khareeda ho ya kisi online Store say ya phr ap ka koi family member dubai say lay kar aaya ho , kisi b waja say ap ka jan’na zarori hai hay kay ye sahi ya Galat ya Compliant IMEI aur PTA say Tasdeeq Shuda hai …!
Yahan hum ap ko btayen gy kay kesy ap IMEI ko Verify kar saktay hain k ye Sahi , Galat ya PTA say Tasdeeq shuda hai ya Nahi ?
- Website k Zariye
- Es website par jayen (http://dirbs.pta.gov.pk/)
- Apnay Mobile ka 15 hinso wala IMEI likhain
- “Check” par Click kren
- Or Screen par ap ko phone ki tafseel nazar aa jaye gi .
- SMS kay Zariye
- Aik naya SMS likhain
- Apnay mobile ka 15 hinso wala IMEI likhain
- Es ko 8484 par bhej dain .
- Android Application kay Zariye
- Yahan say Android Application Download kren Yahan Say
- DIRBS Application ko apnay mobile men Install kren
- Application ko kholain or apnay mobile ka 15 hinso wala IMEI Likhain, bas itni si baat thi 😊
IMEI check krany say kya tafseel nazar aaye gi
Jesy ham nay ap ko btaya IMEI ko check karnay ka tariqa en men say 3 kisam kay Message ap ko Show hongay .
- Sahi(Valid) IMEI : es ka matlab hay kay ap kay phone ka IMEI GSMA say tasdeeq shuda hai magr PTA say tasdeeq shuda nahi hai .
- Galat (Invalid )IMEI : es ka matlab hay kay ap ka phone GSMA or PTA dono say tasdeeq shuda nahi hai .
- Compliant IMEI : es ka matlab hay ap ka phone GSMA or PTA dono say tasdeeq shuda hai.
Kis kis ko IMEI register karwanay ki zarorat hay or Phone Block honay say rok saktain .
Ab hum sab ko pata chal chuka hay k kesy IMEI check krna hay or wo sahi hay ya Nahi ; ab hum aagy barhty hain.
Ab ap kay mojooda Phone ki wujohaat ko smjty huaye daikhty hain , ta kay ye hmary roz marah istemal men rahay .
Galat(Invalid) IMEI Numbers
Ye wujohat hain agr ap kay phone ka IMEI Galat hai:
- Aik toh ap ka mobile kisi third class Chinese company nay manufacture kiya hai .
- Aik ap ka phone Flashed (Software re install) or ab ap ka IMEI GSMA approved nahi hai .
Wo Phone jin ka IMEI galat (Invalid) hay un ko DIRBS ki tarf say SMS mily ga jis men un ko bataya jaye ga kay jo SIM unho nay istemal karni hai apnay es mobile k sath wo es phone men daal kr uska istemal kr lain or ye sab di gai tareekh say pehly kr lain , Q k us kay baad ye phone kisi b or SIM kay istemal kay qabil nahi rahay ga.
SIM istemal karnay ka matlab ap es SIM ko us Phone men daal kar aik dafa es say SMS , Call ya internet ka Instemal kren .
Aik dafa ye Phone us SIM kay sath istemal ho gaya toh phr aap es SIM kay sath us waqt tak istemal kar saktay hain jab tak us phone ki zindagi hai .
Aur agr ap nay phone istemal nahi kiya kisi b SIM k sath di gai tareekh say pehly toh phr aap wo phone Pakistan men kbi istemal nahi kr saktay.
Sahi(Valid) IMEI (mgr PTA say Tasdeeq Shuda nahi)
Ye kuch phone hongy jin ka IMEI sahi hoga mgr PTA say Tasdeeq Shuda nai hoga , ye aik aam si baat hai:
- Agr aap nay phone ko Dubai say (ya kisi or mulk say) khareeda ho ya ap ka koi family member lay kar aaya ho .
- Agr ap nay Online Ali Express say mangwaya ho jo kisi delivery company nay ap tak ponchaya ho .
- Agr aap nay online store say mangwaya ho or unho nay Import karwaya ho.
- Agr ap ko kisi Phone Company Check karnay k liye diya ho .
Phone jo Sahi IMEI walay hain jo PTA say tasdeeq Shuda nahi hain wo phone aik dafa lazmi us men koi b SIM daal kar istemal kar lain — di gai tareekh say pehly (ye ap ko SMS mil jaye ga DIRBS/PTA ki tarf say )
Agr aap nay phone ko kisi b SIM k sath di gai tareekh say pehly istemal kr liya phr Aap ko PTA say dobara Tasdeeq krwanay ki zarorat nahi hay , balkay yehi nahi aap us men koi b SIM istemal kar saktay hain .
Aur phone ko istemal krnay kay baad aap kabi b ye phone istemal kar saktay hain us phone ki baki zindagi tak , aap essi waqt abi ye sab kr saktay hain .
Agr phone (ka IMEI sahi hay mgr PTA say tasdeeq shuda nahi hay) or es say pehly kbi istemal nahi hua di gai tareekh say pehly toh ap ko 20 din diye jayen gy apny phone kay IMEI ko register karwany kay liye jesy kay ap PTA ki website par ja kar NOC lay saktay hain .
Yeh wohi NOC hay jo ap ko Ali Express ya kahin or say phone mangwany k liye chahye hoti hai.
Jesay btatay chalain , di gai tareekh kay baad custom walon ki fee b li jaye gi agr ap ko NOC chahye PTA say apnay phone ka IMEI register krwanay kay liye
Aur yad rakhain wo sab phone jo Sahi IMEI kay sath hain or PTA say tasdeeq shuda nai hain or di gai tareekh kay baad wo Pakistani Networks k sath register nahi kar saktay or agr un kay pas NOC b nahi hogi .
PTA say tasdeeq shuda IMEI (Compliant IMEI)
Ye wo phones hain jo PTA say tasdeeq shuda hain un ko kuch b karnay ki zarorat nahi hai. Wo jesy abi istemal kr rahy hain aisy hi istemal krtay rehain gy or un ko kisi kisam ki koi rukawat nai hogi .
Phone Khareednay say pehly IMEI check krna na bholain.
es DIRBS k zariye ap soch saktay hain kay ap ko buhat say masail ka samna karna par sakta hai agr ap kay phone IMEI Galat(Invalid) hay ya PTA say tasdeeq shuda nahi hai.
Aur es liye hum ap ko mashwara dety hain jab ap koi b phone khareedain toh us ka IMEI thek say check kr lain chahy wo ap kisi dukan say ly rahy hain , kisi dost say , kisi family member say, OLX say ya phr kisi b jaga say ap hmesha IMEI ko check kr lain khareedny say pehly ta kay ap ko kisi b kisam ki mushkilaat ka samna ; naa karna pary . Shukria.
Aap es website par ja kr apnay Phone ka IMEI Check kr sakty hain . http://dirbs.pta.gov.pk
DIRBS kay Faiday
Aap soch rahy hongy es naya system kay tehat bht say maslay or limitation ho jayengi Pakistan men mobile rakhna . magr agr ye DIRBS sahi say istemal ho jaye toh ye kuch faiday hain :
- Aap ka mobile choori ho jata hay toh ap ba-asani us ko Registered IMEI kay zariye Block krwa sakty hain .
- Wo Dukandar ya Fraud Sellers jo ap ko refurbished phone naye mobile ki qeemat kay brabar sale krtay hain wo ab ap say fraud nai kr saktay.
- Es system k zariye ap 100% feesad Original Phone lay saktay hain jo kay zahir si baat hai achi quality men aata hai or sale service warranty k sath .
ye news yahan sy li gai hay propk